Thursday, 15 November 2012

How to safe PC


     Aise Safe Rakhe Personal Computer:-

Office ho ya ghar ho, personal computer aur laptop me jaroori files se leker personal photo aur doosari important files hoti hai jinhe aap kisi ko dikhana nahi chate hai. Lekin enhe chipaye rakhne ke liye kaya kiya jaye? To kyo na aapke computer me aisi setting ker di jaye, jisase aapki personal jankari safe rahe. Es tarah ki pareshani se bachne ke liye aap apne account me password set ker sakte hai. Agar aapke alava aapka computer koi aur use karta hai. To aapke liye private folder jaroori hai. Private folder e aap apne jaroori document safe ker sakte hai. Aur ise password dalker safe kiya ja sakta hai. Aap chahe to aap desktop per ek zip folder bana sakte hai. Zip folder banane ke liye mouse ki right button click kare add to icon per click kare aur fir file aoption me advance option me jaker password dal sakte hai. Agar aap chate hai ki aapke computer ki internet history koi na dekh paye to eske liye aapne computer ki history me jaker history ko delete ker de. Apne browser me jaker clear history per click karke bhi aisa ker sakte hai.

B.A and Intermediate


             Part - 1

 Economics me bazaar sabd ka pryog bises artho ke liye kiya jata hai. Aa bolchal ki bhasa  me bazaar sabd ka pryog kisi bises place ke liye kiya jata hai. Jhan vastu ke kreta aur vikreta parasper milte hai ttah vastu ko kharidte aur bechte hai.

Numbers of Buyers and Sellers in the market:

Yadi bazaar Buyers and Sellers ki number of human bhaut adhik hoti hai to enhe Competition market kahte hai. Eske biprit yadi buyers adhik ho aur seller 1 ho to esko Monopolistic market khate hai.

Nature of Commdity:
Yadi bazaar me sell ki gayi vastu ekroop ya equal hai to perfect competition ki dasha hogi. Yadi vastu alag to monopolistic competition ko mana jata hai.

Knowledge of Market:

Yadi buyers and sellers ko bazaar me prachalit price ka pura gyan hota hai to yah Perfect Competition ki dasha hoti hai. Eske viprit adhra gyan monopolistic ki dasha hoti hai.  







Duniya


                      Glass me poori duniya:-

Bearable technology ke concept per kuch samay pahle ho google ne apne glass project ke jariye ek baar fir logo ka dhyan apne taraf mod liya hai. Google glass khas tarah ke ease goggles hai jo aapki aakho me poori duniya ko sama sakte hai. Ye glass aapko bata sakte hai ki mausam kaisa hai? Khbaro ki duniya me kya chal raha hai? Eske GPS function ki madad se aap apne aas- pass ke places ko jan sakte hai. Najdik me khai aapke dost hai to bhi ye Google aapko suchit ker dete hai. Goggles phan liye hai to fir aapko baar-2 smart phone nikalne ki jaroorat nahi hai koyki Goggles per hi aap text massage pad sakte hai. Esake alawa sabse dilchups baat yah hai ki yadi feature ki baat kare to ye Goggles camera ke kaam aa sakta hai aur share bhi kar sakte hai. Esse aap photo khinch bhi sakte hai. Ab etna sab kuch hai to video chat ki subidha kyo nahi hogi.


How to do PC lock


                       PC ko kare Lock:-

Laptop ya notebook me fingerprint readers, Eye scanner ya face reorganization jaise bhaut security features hote hai. Lekin PC me ye sab nahi hota hai ab user pc ko bhi pen drive se lock ker sakte hai. Predator application ki madad se user apne pc ko lock ker sakte hai. Pc tabhi ka kerega jab aapki usme pen drive lagi hogi. USB hatate hi mouse, keyboard kaa karna band kar denge. Screen dark ho jayegi aur sath hi PC bhi automatic lock ho jayega. Pen drive lagane ke baad user pc ko unlock ker sakte hai. Predator ko user www.preditor-usb.com se download ker sakte hai.

Saturday, 10 November 2012

Optimps G Smartphone

                        Optimps G Smartphone:-

Coria  ki company LG ne haal hi me optimps-G smartphone launch kiya hai. Esme QUALCOMM snapdragon S4 quad processor ke sath 4.7 inch IPS screen di hai. Jo 1280*768 pixel regulation support karti hai. Eske alava 13 mega pixel camera, 13 mega pixel front caera, 32 GB memory, 2 GB ram aur 2100 MAH lean battery di gayi hai. Phone me android 4.0.4 ice-cream sandwich OS diya gaya hai.          

Tuesday, 23 October 2012

Antiksh ki Duniya


     Antriksh ki Duniya:-

Bhartia  mul ki Sunita Williams apne do sathiyo ke sath International Antriksh station pahuch chuki hai. Sunita bha 4 monts rahegi aur spacewalk bhi karegi. Sunita se pahle kai yatri Antriksh ja chuke hai. Dosto kya tuhe pata hai. Bha kaise rahte hai, kya khate hai, spacewalk kya hai. Ao en sab bato ko jante hai.

Antriksh
                     Hamari earth se 100km doori aanman me antiksh bah jagah hai jo ek tarah 0 hai. Es 0 me things bharrahit ho jati hai. Bha aabaj bhi nhi sunai deti hai. Antriksh dhool aur gas se bana hai. Aaj bhi Antriksh secret bana hua hai. Jise janane ke lilye yatri khas taiyari ke sath jate hai.
  1. Antriksh me hamari prathbi ke tarah gurutukarshan ki tarah sakti nahi hoti. Eskiye yatri khud ko bharhin mahsus karte hai. Bha yatri chal nahi sakte hai. Sirh tairte rahte hai. Antriksh me jane se pahle unhe spacewalk ke bare e vises gyan diya jata hai. Yatri ko adhik cumpan uar temperature ka gyan diya jata hai.
  2. Antriksh yaan me khane ko khas tapman per rkha jata hai. Jisase vah lae samaye tak upyog me aa sake.
  3. Pani pine ke liye straw ka proyog kiya jata hai. Pani ki Antriksh me bachat ki jati hai. Sunita Williams ne bhi aapne hair ko chota kar diya hai taki safai kare bakt pani ka krach kam ho.
  4.  Exercise karna behat jaroori ho jata hai nahi to sarir behad kajo ho jata hai.
  5. Sone ke liye yaan ke ander  hi compartment bana hota hai aur sleeping bag ka prayog kiya jata hai. Jisme lagi strep se sarir ko halka bandh diya jata hai. Masino ke shor ke beech sone ki liye yatri aankho me mask aur kano me earplug lagaker hi 6 se 8 hours so sakte hai.
  6. Nahane ki bajaye kapde ko gila karke sarir ko saf karte hai. Balo ko khas tarikeke sampoo sedhote hai. Yah kaode bhi nahi dhoye jate hai.

Spacewalk:-

Antriksh yatri jab yaan se space shoot pahnker yaan se bhaer jate hai to ‘ Spacewalk’ kahte hai.
Antriksh yaan me se bandhi el rassi ke sahare yan space walk karte hai. Rassi ka doosara sira unke spaceshoot se banda hota hai. Apna kaam  karne ke baad bapas yaan tak aane me yahi rassi unka sath deti hai. Surksha ke liye space shoot me peeche ki or ek jet pack bhi hota hai jo rassi ke fail hone per yaan tak pahuchne me madad karta hai.
Spacewalk Antriksh me naye proyogo aur oha tair rahi upkaran ki marramat karnre ke liye kiya jata hai.
Russia ke Aleksiya Lionov pahle spacewalker the.

 

How to Ram Upgradation


Etna Bhi Muskil Nahi Ram Upgradation:-


Kai baar computer ki speed badane ya fir koi khas program chalne ki jaroorat hoti.
Socho agar aapne khud hi Ram Upgradation kar li to bekar Investment aur sirdard se bach jayenge.
Ram ko Upgradation karne se pahle Laptop per di gai manual sitting dhyan se pad le. Aur ye bhi dhyan de ki program ko chalane ke liye 1 GB ram ya phir Gaming karne ke liye 2 GB Ram ki jaroorat hogi.

Aise Karen Upgrade:-


1.
Sabse phale Laptop ke power ko disconnect ker de aur back battery ke panel ko open karke battery ko bhi nikal de.
2. Agar Laptop me koi Internet ya phir Networking cabel lagi hai to use bhi hta de.
3. Laptop ko back karke uske Ram cover ko Pechkus se khol le.
4. Laptop ke andar ke diye gaye Ram mudule me se purani Ram nikal le.
5. Aam taur per PC me 2 Slot diye rahte hai jisme se 1 slot khali rahta ghai.
6. Eske baad nayi Ram ko khali slot me lagade. Aur use aaram se lock kar de.
7. Ab laptop ko sidha karke laptop ko restart kare.

Monday, 8 October 2012

Ship


                             Chota lekin Damdar:-

California stith ek hiteck company ne ‘Huber Bike’ naam se manav rahit ship banaya hai. Es ship ka estemal kheti aur khoj-bacho ke abiyano me kiya ja sakta hai. Nirmata airoplex marks day roke ke mutabik filhal ye huber bikes 30 meter p/h ki rahtar se 15 fit unchai ki udan bhar sakti hai. Filhal eske naune ki max capacity wale manavrahit ship ke taur per estemal karne ke janch ki ja sakti hai. Yadi niji estemal ke liye ese banaya jata hai. To remate aria e yatayat ke sadhan ke roop me bhi eska estemal kiya ja sakta hai.

Ab Pani ke Ander Robots


                             Ab Underwater Robots:-

Ek naye prayog ki mane to ab robot, coral lieves ( gahre pani ke bhitar ki vegetables) ko bachane ke liye ka karengi. Scotland ki heroet vat university ki sodhkarta ese underwater Robots banane me jute hai. Jo samudra me coral ripas ki surakhs karengi. Research team filhal us software ka kaam kar rahi hai. Jisaki madad se ye Robot Coral Rips ki pahchan ker payenge. Filhal ek miter tak en Robots e video, Image processing aur kuch doosari tahrah ke tools lagaye gaye hai.

Sunday, 7 October 2012

9999 me Vislet Tablet


               9999 Rs. Me Vislet Tablet:-


IT product banae wali company Vislet ne IRA comet HD ke sath ab bharat me Third budget utarne ke suruyaat ke hai. 10.1 TFT display wale es Tablet me Android 4.0 ka estemal kiya hai. 1.2 Giga hertz processor ke sath ese hai ek 1 GB Ram. 2 Megaphixcel riaer camera aur VGA front Camera. 8 e 32 GB tak Expendable memory ke sath esme 5 se 6 hours tak battery backup bhi diya Gaya hai.

Smart Phone


          Ek Smart Phone Aur 44 Language:-

Hal hi me launch kiye gaye optimas g ke baad ab Lg ne optimas L9 ki gosdnaki hai.
4.7 IPS display aur android 4.0 ke sath L9 me hai. Ek giga hertz dual core processor aur     GB Ram. En khubiyo ke sath L9 ke sabse khat baat hai eska translator application. Q translator app ke madad se L9 ke users sabdo aur sentences ko pal bhar e hi. 44 languages me anubaad    kar sakte hai. Filhal kimat ke baare me koi jankari nahi di gayi hai.

Saturday, 6 October 2012

key board


                   Logitech ka baseball keyboard:-


Logitech ne haal hi me PC keyboards ka naya model launch kiya hai. Logitech ke es keyboard ke 310 ka sabse khas feature yah hai ki eska baseball hona. App es per jami sari dhool   mitti ko bina kisi pareshani ke pani se dhoker shap kar sakte hai. Baseball hone ke chalte  eske key characterko laser print di gayi hai. Print karat na ho eske liye esme ultraviolet knotting  bhi kiya gaya hai.

Friday, 5 October 2012

Bsnl


                                        BSNL:- 


Videsh sanhar nigam limited ki sthapna 1 apr 1986 ko videsh sanchar sevha ke sthan  per ki gayi the. Yah nigam bharat me television, telex, telegraph kiraya sevaye packet aakbde , radio chetra , television, multi adis prsaran , press samachar etc videshi sevhayo  ke liye jeemedar hai.
Eska sanchalan Mumbai, New Delhi, Madras tatha Calcutta ke 4 chetra Kendra se kiya jata hai. International presan suvidhaye bhusthit uppgraho ke madhyam se Intelsat duara uplabdh hoti. Videsh sanchar nigam limited bhibinn desho ke sath sidhi sevhayo ke sanchalan karta hai tatha kuch sthano ke liye International consumer suviha uplabdh karta hai. Bharat ke 1200 towns se 211 desho ke liye International consumer dial suvidha evam 214 desho ke liye International telex suvidha uplabdh hai. Bsnl ka nijikaran 13 feb, 2002 ko eski 25% capital ke mai. Painatone Finvest (tata) duara kharidne se hua. Bsnl ke 26.12%  equity ab bhi sarkari ke pass hai.

How to make CON folder


                               How to make CON folder:-


Kuch log kahte hai ki con naam ka folder nahi banta hai lekin humare samaj se con naam ke folder ban sakta hai. Con naam ka folder banane me koi badi baat nahi hai.jaisa ki log kahte hai ki sart lagate hai agar tum con naam ka folder nahi bana sakte. Lekin vo log ab hosiyaar ho jaye. Aao dekhe ki Con naam ka folder kaise banta hai.

  1. subse pahle aap ek naya folder banaye ya apne hi system me kisi bhi folder per kar sakte hai.
  2. uske baad use Rename ya keyboard se f2  button dabaker folder per subse pahle con aur sath me alt+255 dubane per aur alt key chod dete hai. Aur enter dubate hai.

Thursday, 4 October 2012

How to see TV in PC



           Kaise Dheke PC Ya Laptop:-

Agar aapke paas pc ya laptop hai to esse aap TV ka maja bhi le sakte hai. Kaise? Are bhai TV tuner card ki madad se. TV tuner card bilkul pen drive ki tarah hota hai. Ye kai renge me ata hai. Enki kimat 1000 to 10,000 tak ho sakti hai. TV tuner card ko attech kane ki liye aapke pc me bus ek software install karne ki jaroorat hai. Jab bhi aap TV tuner card kharidege to uske sath ek CD milegi. Kuch TV tuner card ke sath FM radio aur program record ki suvidha bhi dete hai. Usi hisab se uski keemat aalag-2 hoti hai. Tv tuner ke sath Cable, Stereo Audio power, aur Power adapter milta hai. USB se hi TV tuner ka estemal karne per power adapter ki jaroorat nahi padti hai.

How to Photos Sharing



             Photo Sharing ho to Kaise:-

Social networking sites per photo sharing ka jonoon hai to Silde.ly ep aapki madad ker sakta hai. Facebook, fleeker ya instagramm se photo leker aap single slideshow me rakh sakte hai. Aur unhe pal bhar me sabhi dosto ke sath shair ker sakte hai. Sirph photo hi nahi ye ep aapko photo  ke sath music ed karne ke subidha bhi deta hai. Taki aap taiyar ker sake akdam live slideshow. To es ep ke madad se photo kerne ke liye aap apne un sabhi account se connect ho sakte hai. Jhan aapne photos upload ki hui hai ek baar account se connect hone ke baad aapko bus un pictures per click karna hai jinse aap slide show banana chate hai. Aap instagram se 3, fleeper se dus aur 5 se jayda pictures nahi le ja sakte hai. Youtube ya sound cloud music ke madad se slideshow ke sath music bhi add ke sakte hai. Music add kerne ke baad aap behtreen slideshow taiyar kar sakte hai.





Wednesday, 3 October 2012

Back side of CPU


                     Back side of CPU:-

System unit ke pichle bhag me bhaut se ports lage rahte hai. Enhe Parallel Port Serial Port attha USB kaha jata hai. Enak sanchipt vivran es prakar hai…………………

  1. Power in and outs sockets:- Ename plug duara ve taar jode rahte hai. Jo light ko uske switch se system unit me tatha system unit se moniter  me pahuchata hai.
  2. Serial Ports:- Yah PC ko mouse ya modem se jodta hai. Adikatam computes me do serial ports lage hote hai.
  3. Video/ Monitor Ports :- Monitor se jane wala taar plug duara video monitor plug e juda rahtra hai. Yah data ko monitor tak pahuchata hai.
  4. Parallet Ports:- Ese Printer Ports bhi kahate hai. Aamtaur per eska pryog computer ko printer ke sath jodne ke liye kiya jata hai. Eska sabse bada goud data convert karne ki eski gati , yah gati serial ports se 8 guna tej hoti hai.
  5. Keyboard Port:- keyboard se jane wala taar plug duara seme juda rahata hai.
  6. USB:- eska pryog kisi bhi upkaran ( mouse, printer etc) ko usb connection ke sath jodne ke liye kiya jata hai.
  7. Fan housing:-  Kisi bhi kaam ke dauran PC me lage electronic upkaran atyadik matra me heat paida karte hai. System ke adhik garam ho jane ki aasnka bani rahiti hai. System se es atirikt garmi ko door karne  ke liye unit ke pichle bhag me ek Fan  laga rahta hai. Jo system ke andar se es adhik heat ko bhar nikal fikta hai. Es poori kriya ko Fan Housing kahte hai.
  8. Adudio Jack:- Eska pryog Speaker, headphone, microphone etc upkaran jodne ke liye ke liye kiya jata hai.
  9. Modem Jack:- Esaka prayog Intrenal Modem lagane ke liye kiya jata hai.
  10. Small Computer System Interface  ( SCSI) Port:- SCSI port ka prayog External hard disk, DVD Drive ya Scanner ko jodne ke liye kiya jata hai.
Network _Port:- Eske duara aap Network me Ek computer ko doosre computer se jod sakte hai.

Tuesday, 2 October 2012

What is Scanner



                                    Scanner:-


Scanner  anivary bhago ke sreni me nahi aata hai. Ese hum jaroorat  padne per aalag se jod sakte hai. Scanner ke duara hum kisi dudtabaj  ko photo ke roop me computer me input ker sakte hai.
             Scanner se hum kisi hath se likhe dustawaj ko computer ke input kar sakte hai. Aur baad me use process karke mancha paridam prapt kar sakte hai. Sacanner ko bhi CPU me lagi port me joda jata hai.

Front Part of Cpu


                               The Front Part of System Unit:-

Es bhag me dikne wale bibhinn avyab is prakar hai………………………
  1. Power Switch:- Eska prayog PC ke liye  light ko Chalu(on) ya OF karne ke liye kiya jata hai.
  2. Reset Button:- Es button duara aap power supply band kiye bina hai computer ko dobara chalo(on) ker sakte hai.
  3. Light:- System Unit ke agle panel me kai tarah ke soochak battiya  hoti hai. Jinme power aur turbo sanket samil hai. In battiyo ka prayog yah darshane ke liye kiya jata haiki kaya  hard disk, Floppy disk ya CD-ROM ko pada ya likha ja sakta hai.
  4. Floppy Disk:- Eska prayog floopy disk me jama data ko padne ke liye kiya jata hai. System unit me ek Slot hota hai. Jisme floppy disk ko dala jata hai.
  5. CD-ROM Drive:- Esaka prayog CD-ROM disk me sanchit data ko padne ke liye kiya jata hai.


Operating System


                     Types of Oprating System:-

Phale oprating system devices ke mohtaj the Devices depand software product kebal kuch prakar ke computer ko chalate them jab manufacture naye computer model introduce karte hai, to bo software improved aur alag operating system produced karte hai. Problems tab uthti hain. Jab user computer model ya manufacturing ko chodna chate hain. User je application software akser naye computer per kam nahi karte hain. Koynki application software ek visist operating system ke sath ka karne ke liye design kiye gaye hote hai kuch operating system abhi bhi devices depand hai.
Ab device- Indented operating system aa gaye hai jo kai manufacturing ke computers oprate karte hai device- Indented operating system ka profit  ye hai ki yadi aap computer model ko badal bhi de to bhi aap maujada applications software aur data files ko rakh sakte hai.         

Sunday, 30 September 2012

Typewriter



                     Typewriter:-


I pad aur typewriter me se kisi ek ko chunana ho to aap kise chunenge?
Jyadatar log es jabab me I pad ka hi naam batayenge. Lekin agar baat typing ki kare to har roj I pad use karne wale user bhi typewriter ko hi tarjih denge. I pad per typing karna jara muskil hai. Ab esi uskil ko saral banae ki kosis me samne aya hai ki ek naya  gagget “Itypewriter”. Itypewriter akshro aur anko ke danche ki madad se type kiye gaye akshro ko turant Ipad per pahuchata hai.man lijiye ki aapne ‘a’ akschar type kiya to typewriter ke sath lagi keys me se ‘a’ akshr wala dancha upper uth jata hai.aur pal bhar me vo akashar ko Ipad per uker deta hai. Es device ko banaya hai scotland ke Adinbarg callege ao art e padne wale makenikal engineering ke student “Yanstin yang” ne Yanstin  ka kahna  hai ki es device ke sath user latest technology e bhi purani yadno aur anubhav ko taja kar sakte hai. Kaphi purani pidi ke vo log jinho ne khabi computer ya typewriter estemal nahi kiya vo bhi apne jane pahuchane ke sath type ker sakete hai. Eske bare me kuch scientist ka khana hai ki ek minute me es device ke jariye kam se kam  100 words nikal sakte hai. Halanki filhal es devices ke market me aane ki koi yojna nahi hai. Lekin kuch samay baad eske jyada vehtar roop me samne aane ki sabhabana se bhi enkar nahi kiya ja sakta hai. Esse pahle bhi kuch nirmata PC aur dosare Tablests ke liye USB cabke ka esteal kar ese typewriter bana chuke hai.

Web Camera


x
                                   Web camera:-


Aaj ka Internet ka chalan lagatar bad raha hai. Jise nai-2 accessories bazaar me aa rahi hai. Esi nayi taknik ke that abi hal me
web camera bazaar me aya hai. Es camere ke prayog sse aap computer me film input karne se lekar door bathe manav se es tarah baat kar sakte hai jaise vah aapke samne baitha hai.
               Web camera ko computer ki USB port me lagate hai. Eske baad jab yah computer me Install ho jata hai to aap internet se phone karte samay eska prayog kar sakte hai

Thursday, 27 September 2012

Mobile Har Jagah



                                 
Baat-Baat Me Mobile:-


Mobile se dosti, mobile se dushmani, mobile se nukari, mobile se bazaar……..
ye to mobile kranti hai. Aapke pass mobile hai to aapke hath me dukan hai, jo chaho kharid lo………
Bharat me mobile internet users ki pollution lagatar bad rahi hai. 2015 tak Bharat me mobile users me ginti 120 Koror honeki ummid hai. Yahi karan hai ki online E-commerce se Judi jaydatar  companies mobile platform ko bhavis ke behtar vikalp ke taur per dekh rahi hai. Facebook aur Google jaisi compniya bhi bhi consumer dura estemaal kiye ja rahe platform se jyada kamai ke tarike khoj rahi hai, E-commerce companies flip cart bhi apni website ki tarz per mobile platform suro karne ki taiyari me juti hai. E-commerce se Jude logo ke anusar online karobaar ke liye mobile bhugtaan ka sahi hona jaroori hai. Isi disha me flip cart ne pre- paid mobile violet ki suriyat karne ki baat kahi hai. Eske tahat costumer apne online flip cart khate me rakam jama karenge aur mobile se kharidari ker lenge.

Mobile Ka Bazaar



         Mobile- Commerce Ka Bazaar:-

Bharat me karib 55 fhisadi mobile Internet users  Mumbai, Delhi, Ncr, Calcutta, Chennai, bengloor, Hyderabad, Pone, aur Ahmadabad jaise sahro me rahte hai. Mobile phone per music sunne, online TV dekh ne, Social Networking websites aur Internet ka estemaal kaphi ho raha hai. Price water House cooperski ek report ke anusar, cricket, football, formulas, one of Tennis me logo ki badati dil chaspi ke karan live Sports jaisi mobile sebayo ki maag bi badegi. Sahri chetro ke alava garmin chetro me mobile Internet lki pahunch badne se sthaniy log chetriya 
                                bhasa me sangit, content aur films ke downloading karenge. Ese me mobile, TV, Banking, Mausam avam Location adharit sevaye dene wali compinesbhi es bazaar ki upecha nahi ker sakti. Duniya bhar me kul Internet search ka 40 fhisadi  mobile se hi hota hai. Eske babjood es platform ki vighapan se hone wali kamai simit hai. Lekin Google es leker chintit nahi hai. Google ke adikari ke anusar” Sthan adharit vigyapno me ejafe ka rojhan es platform ke vikash me aham bhoomika nibhayega”.

Wednesday, 26 September 2012

Examination Tips


                                           Hot Tips :-

1. Computer pryogkarta dura computer ko diya gaya nirdesh Command kahlata hai
2. Digital computer ki karya paddt ki garna aur tark siddhant per adharit hai.
3. Computer ko karya vastha me lane ke liye operating system dura kiya jane wala prarambhik karya Boot kahlata hai.
4. System per karya karne wale user ko liquer kha jata hai.
5.  Computer program ya system e error ke karan ko Bug  kha jata hai Ex- yadi koi program galat paridam dene lage to yah kaha jata hai ki es 6. program me Bug hai. Bug ko hatane ko Dibug kaha jata hai.
7. Dos ka pura name Disk Operating System hai.
 

Unix Operating System


                          Unix Operating System:-

Ye multi-user v multi-tasking operating system hai jo works tens aur server me master control program ke taur per bade dhang hai. Lagbhag her hardware vikrta Unix ko ya to prathmik ya doyam operating system batata hai. Beete shalon ke sun aur s.c.o unix ke bade spansar ban ke ubhre hai. Unix c language me likha jata hai. Dono unix v C.A.T. and T dura viksit kiye gaye aur sarkari b academic institute ko khule taur per  vitrit kiye gaye, kuonki ye kisi anya system ke bajay machine parivar ki vaypak varity per potrid tha. Paridam soroop , unix “open system” ka Symons ban gaya hai.

Tuesday, 25 September 2012

Computer Door Se Thik Hoga


                                Computer Door Se Thik hoga:-

Yadi aapke computer me virus aa gaya hai ya fir operating system fail ho gaya hai yaa gir hard disk e data read nahi ho raha hai to ab aapko kisi hardware engineerki jaroorat nahi rahegi. Ab computer me ek ese naye chip ko lagaya jayega jise ki bhaut door se kisi network se judker chae vh Interner v Intranet kyon hi na ho es thik kiya ja sakta hai. Es taknik ka vikash Intel ne ker liye hai aur ab ese computer visesagya ke paas parkhne ke liye bheja gaya hai. Eske poori tarah test hone ke baad America se hi Bharat me aur Bharat se America me rakhe computer ko thik kiya ja sakta hai. Usme operating system kiya ja sakta hai aur computer me aaye virus ko nikala ja sakta hai. Es taknik ke sabse khas baat yah hogi ki kharab hine per yadi aapka computer off hai to bhi sue thik kiya ja sakta hai. Es taknik ko America me aapne karon me general motors ne apnana hi suru ker diya hai. Jiski vajah se kaar me yadi darvaja lock ho jaye to general motors ke call cener me baita operater bhahi se command dekar ese khol deta hai. Abhi es taknik per jo kam ho raha hai vh hai ki esse computer me store data ko kaise poori tarah se safe bachaya  jaye.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...