Sunday, 30 September 2012

Typewriter



                     Typewriter:-


I pad aur typewriter me se kisi ek ko chunana ho to aap kise chunenge?
Jyadatar log es jabab me I pad ka hi naam batayenge. Lekin agar baat typing ki kare to har roj I pad use karne wale user bhi typewriter ko hi tarjih denge. I pad per typing karna jara muskil hai. Ab esi uskil ko saral banae ki kosis me samne aya hai ki ek naya  gagget “Itypewriter”. Itypewriter akshro aur anko ke danche ki madad se type kiye gaye akshro ko turant Ipad per pahuchata hai.man lijiye ki aapne ‘a’ akschar type kiya to typewriter ke sath lagi keys me se ‘a’ akshr wala dancha upper uth jata hai.aur pal bhar me vo akashar ko Ipad per uker deta hai. Es device ko banaya hai scotland ke Adinbarg callege ao art e padne wale makenikal engineering ke student “Yanstin yang” ne Yanstin  ka kahna  hai ki es device ke sath user latest technology e bhi purani yadno aur anubhav ko taja kar sakte hai. Kaphi purani pidi ke vo log jinho ne khabi computer ya typewriter estemal nahi kiya vo bhi apne jane pahuchane ke sath type ker sakete hai. Eske bare me kuch scientist ka khana hai ki ek minute me es device ke jariye kam se kam  100 words nikal sakte hai. Halanki filhal es devices ke market me aane ki koi yojna nahi hai. Lekin kuch samay baad eske jyada vehtar roop me samne aane ki sabhabana se bhi enkar nahi kiya ja sakta hai. Esse pahle bhi kuch nirmata PC aur dosare Tablests ke liye USB cabke ka esteal kar ese typewriter bana chuke hai.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...