Thursday, 15 November 2012

Duniya


                      Glass me poori duniya:-

Bearable technology ke concept per kuch samay pahle ho google ne apne glass project ke jariye ek baar fir logo ka dhyan apne taraf mod liya hai. Google glass khas tarah ke ease goggles hai jo aapki aakho me poori duniya ko sama sakte hai. Ye glass aapko bata sakte hai ki mausam kaisa hai? Khbaro ki duniya me kya chal raha hai? Eske GPS function ki madad se aap apne aas- pass ke places ko jan sakte hai. Najdik me khai aapke dost hai to bhi ye Google aapko suchit ker dete hai. Goggles phan liye hai to fir aapko baar-2 smart phone nikalne ki jaroorat nahi hai koyki Goggles per hi aap text massage pad sakte hai. Esake alawa sabse dilchups baat yah hai ki yadi feature ki baat kare to ye Goggles camera ke kaam aa sakta hai aur share bhi kar sakte hai. Esse aap photo khinch bhi sakte hai. Ab etna sab kuch hai to video chat ki subidha kyo nahi hogi.


1 comment:

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...