Thursday 27 September 2012

Mobile Har Jagah



                                 
Baat-Baat Me Mobile:-


Mobile se dosti, mobile se dushmani, mobile se nukari, mobile se bazaar……..
ye to mobile kranti hai. Aapke pass mobile hai to aapke hath me dukan hai, jo chaho kharid lo………
Bharat me mobile internet users ki pollution lagatar bad rahi hai. 2015 tak Bharat me mobile users me ginti 120 Koror honeki ummid hai. Yahi karan hai ki online E-commerce se Judi jaydatar  companies mobile platform ko bhavis ke behtar vikalp ke taur per dekh rahi hai. Facebook aur Google jaisi compniya bhi bhi consumer dura estemaal kiye ja rahe platform se jyada kamai ke tarike khoj rahi hai, E-commerce companies flip cart bhi apni website ki tarz per mobile platform suro karne ki taiyari me juti hai. E-commerce se Jude logo ke anusar online karobaar ke liye mobile bhugtaan ka sahi hona jaroori hai. Isi disha me flip cart ne pre- paid mobile violet ki suriyat karne ki baat kahi hai. Eske tahat costumer apne online flip cart khate me rakam jama karenge aur mobile se kharidari ker lenge.

Mobile Ka Bazaar



         Mobile- Commerce Ka Bazaar:-

Bharat me karib 55 fhisadi mobile Internet users  Mumbai, Delhi, Ncr, Calcutta, Chennai, bengloor, Hyderabad, Pone, aur Ahmadabad jaise sahro me rahte hai. Mobile phone per music sunne, online TV dekh ne, Social Networking websites aur Internet ka estemaal kaphi ho raha hai. Price water House cooperski ek report ke anusar, cricket, football, formulas, one of Tennis me logo ki badati dil chaspi ke karan live Sports jaisi mobile sebayo ki maag bi badegi. Sahri chetro ke alava garmin chetro me mobile Internet lki pahunch badne se sthaniy log chetriya 
                                bhasa me sangit, content aur films ke downloading karenge. Ese me mobile, TV, Banking, Mausam avam Location adharit sevaye dene wali compinesbhi es bazaar ki upecha nahi ker sakti. Duniya bhar me kul Internet search ka 40 fhisadi  mobile se hi hota hai. Eske babjood es platform ki vighapan se hone wali kamai simit hai. Lekin Google es leker chintit nahi hai. Google ke adikari ke anusar” Sthan adharit vigyapno me ejafe ka rojhan es platform ke vikash me aham bhoomika nibhayega”.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...