Back side
of CPU:-
System unit ke
pichle bhag me bhaut se ports lage rahte hai. Enhe Parallel
Port Serial
Port attha USB kaha jata
hai. Enak sanchipt vivran es prakar hai…………………
- Power in and outs sockets:- Ename plug duara ve taar jode rahte hai. Jo light ko uske switch se system unit me tatha system unit se moniter me pahuchata hai.
- Serial Ports:- Yah PC ko mouse ya modem se jodta hai. Adikatam computes me do serial ports lage hote hai.
- Video/ Monitor Ports :- Monitor se jane wala taar plug duara video monitor plug e juda rahtra hai. Yah data ko monitor tak pahuchata hai.
- Parallet Ports:- Ese Printer Ports bhi kahate hai. Aamtaur per eska pryog computer ko printer ke sath jodne ke liye kiya jata hai. Eska sabse bada goud data convert karne ki eski gati , yah gati serial ports se 8 guna tej hoti hai.
- Keyboard Port:- keyboard se jane wala taar plug duara seme juda rahata hai.
- USB:- eska pryog kisi bhi upkaran ( mouse, printer etc) ko usb connection ke sath jodne ke liye kiya jata hai.
- Fan housing:- Kisi bhi kaam ke dauran PC me lage electronic upkaran atyadik matra me heat paida karte hai. System ke adhik garam ho jane ki aasnka bani rahiti hai. System se es atirikt garmi ko door karne ke liye unit ke pichle bhag me ek Fan laga rahta hai. Jo system ke andar se es adhik heat ko bhar nikal fikta hai. Es poori kriya ko Fan Housing kahte hai.
- Adudio Jack:- Eska pryog Speaker, headphone, microphone etc upkaran jodne ke liye ke liye kiya jata hai.
- Modem Jack:- Esaka prayog Intrenal Modem lagane ke liye kiya jata hai.
- Small Computer System Interface ( SCSI) Port:- SCSI port ka prayog External hard disk, DVD Drive ya Scanner ko jodne ke liye kiya jata hai.
Network _Port:-
Eske duara aap Network me Ek computer ko doosre computer se jod sakte hai.