Wednesday 19 September 2012

How to connect System


                               Setting Up a System:-

Yah Jan lene ke baad ki computer ke bhibinn bhag kaise kam karte hai. Ab hum ek system ko set karne , arthat Monitor,system unit , keyboard , mouse aur Ups ko lagane ka tarike seekhenge.

Connecting to the System Unit:-

Bhibinn upkarno jaise – Monitor, keyboard, mouse, printer, speaker aadi KO system unit se jodne ke liye nimnlikhit tarike hai.
1.       Keyboard me ek rounded plug hoti hai esme 5 chote pins lage hote hai. Ese tower (A) me lagaye.
2.       Mouse ke plug ko tower ya system unit ke peeche (B) me lagaya jata hai.
3.       Monitor me do plug cables hote hai enme se ek cable, tower (C) ke sath joda jata hai.
4.       Printer ka plug, tower (E) me joda jata hai.
5.       Speakers KO tower (E) me joda jata hai.


Connecting the Electrical Wires:-

Monitor tatha System Unit ke taron KO es prakar jode:-
1.       System Unit ya Tower KO outlet (F) ke sath joda jata hai.
2.       Monitor me do cables rahte hai enme se ek taar bijali KO monitor tak le jata hai. Monitor KO outlet (G) ke sath joda jata hai.
3.       Printer ke plug ko bijali ki aapurti (H) se jodna chaiye.
4.       Speaker tak bijali ki aapurti karne wala plug outlet (I) se joda Jana chaiye.

  

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...